top of page

•Gulab aur Inquilab •

Updated: Apr 29, 2021

Khuda ne aurat ko ek khaas mitti se banaya hai ,

Sahi ke lie ladna bataya hai ,

To galat se bhidna bhi sikhaya hai

Aurat is chaman ka ek aisa gulab hai,

Jisne poora gulistan-e-hind mehkaya hai

Aur gar ki tumne uski awaaz dabane ki koshish ,

To yaad rakhna har gulab apne sath kaata bhi laya hai


Yun to sanwarne mein lagi hai wo apna aanchal ,

Lekin jab jab awaaz uthayi hai satta ka taqht giraya hai

Tum uski taqat ko lalkaarne ki bhool na karna ,

Usne jo kaha hai wo kar ke dikhaya hai

Zulmi kar raha hai zulm khule-aam

Aur jeetne ko isne har hathkanda apnaya hai

Magar suna hai ,woh dar gaya hai bheetar se

Zara dekho to is baar inquilab kaun laya hai

Ae shaheen bagh ke gulab ,tu aage badh

dekh ab tera saath dene , mumbai bagh bhi aaya hai,

Aur salam hai tujhe ae Bareilly ae Kanpur aur Lucknow ke gulab

Inquilabo inquilabo inquilabo inquilab !



 

Uneza Irshad is currently pursuing MBA in Marketing from Jamia Millia Islamia. She has completed her graduation in Commerce from the same institution last year.

When she is all by herself, she writes poems and read books. Irshad also is an amateur photographer who likes to click and be clicked. She has a never ending love for Urdu poetry and her favourite poet is Jaun Eliya.

314 views0 comments

Recent Posts

See All
bottom of page